Thursday, July 19, 2007

Woh Mera Na Tha

faaslay aisay bhi ho-n gai, yeh kabhi socha na tha
samnay baitha tha mairay aur woh mera na tha

woh keh khushbu ki tarha phaila tha meray char su
mai-n usay mehsoos ker sakta tha chu sakta na tha

raat bhar pichli hi ahat kaan mai-n aati rahi
jhank ker daikha gali mai-n, koi bhi aya na tha

yeh sabhi weerania-n us kay juda honay say thee-n
aankh dhundlaiee thi laikin shehr dhundlaya na tha

sainkaro-n toofan lafzo-n kay dabay thay zair-e-lab
aik patthar tha khamoshi ka keh jo hatta na tha

aaj us nay dard bhi apnay alehda ker liay
aaj mai-n ghamgee-n hua to aaj woh roya na tha

yad ker kay aur bhi takleef hoti thi Adeem
bhool janay kay siw ab koi bhi chara na tha

maslehat nay ajnabi hum ko banay tha Adeem
warna kab ik doosray ko hum nay pehchana na tha

No comments: