Monday, June 18, 2007

Ashq ankh main phir atq raha hai
kankar sa koi khataq raha hai

main uss k khial say guraizaan
wo meri sada jhataq raha hai

tahreer uss ki hai,magr dil
khat parhtay huy atq raha hai

hain fone pay kis k sath baatain
aur zihan kahan bhatq raha hai

sadiuun say safr main hai samandr
sahil pay thakan pataq raha hai

ik chand saleeb-e-shakh-e-gul pay
bali ki tarah lataq raha hai

No comments: