Sunday, June 17, 2007

Jaane Nahin Diya

Uss simt mujh ko yaar ne jaane nahin diya
ek aur shehar-e-yaar mein aane nahin diya

kuch aur waqt chaahate thhe ki sochein tere liye
toone wo waqt hum ko zamaane nahin diya

manzil hai is mehak ki kahaan kis chaman mein hai
is ka pataa safar mein hawaa ne nahin diya

rokaa ana ne kaavish-e-besud se mujhe
uss butt ko apana haal sunaane nahin diya

hai jis ke baad ahad-e-zavaal-aashnaa "Munir"
itana kamaal hum ko Khuda ne nahin diya.

No comments: