Monday, June 18, 2007

Woh chaar Din"...

woh chaar din jo teri chahton may guzray thay..
teray khayal teri qurbaton may guzray tahy.....

woh intezar k lamhay,lamhon may dil ki batain..
woh din ko sochtay rehna,woh shab ki bekhhawabi.

woh tujh se mil k milnay ki arzoo karna
sakoon e dil ki teray pass justuju karna

woh tujh se qurb ki gharion may toot k milna.
woh khalwaton may tera phool ki tarah khilna.

kali bhi soch ki ab zehan may nahin khilti..
kahin se teri khabar bhi to nahin milti.....

main teri yaad k aangan may jub utarta hoon
main muskara k ab bhi wo don yaad karta hoon

woh chaar din jo teri chahton may guzray thay!
teray khayal teri qurbataon main guzray thay !

No comments: