Monday, June 18, 2007

Dil ki Batain bata deti hain Aankhen

Dil ki Batain , bata deti hain , Aankhen ,
Dharkanon ko Jaga deti hain, Aankhen ,

Dil pe chalta nahi Jadoo, Cheroon ka kabhi ,
Dil ko tu , Deewana bana deti hain ,Aankhen,

Woh hum se baat nahi karte , tu na kare ,
Haal sara unke dil ka , Suna deti hain Aankhen,

Gham sada rehta nahi , Aadmi ke saath,
Ashk bana kar , Chalka deti hain Aankhen,

Aata hai jab dor - e - Jawani , tu ae Dosto,
Sunder Sapne Zehan mein ,Basa deti hain Aankhen,

Mana ke Neend aati hai , Aankhon hi ke raste ,
Magar kabhi kabar ,Neend ,ura deti hain Aankhen,

Eesha shukar hai , Khuda ne Ata ki , Aankhon ki Neamat humain,
Dard -o-Gham ,sare Dil ke , Chupa deti hain Aankhen

1 comment:

Unknown said...

Nice gazal, please mention name of writer and singer.

thank you.